LYRIC

SHREE KRISHNA CHALISA LYRICS IN ENGLISH / श्री कृष्णा चालीसा

Shree Krishna

|| Doha ||

Banshi shobhit kar madhur, neel jalad tanu shyam

Arun adhar janu bimba phal, nayan kamal abhiram

Puran Inder Arvind mukh, pitambar subh saj

Jai Man Mohan Madan chhavi, krishna chandra maharaj

🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵

|| Verses ||

Jai Yadunandan Jai jag vandan, Jai Vasudev Devaki nandan

Jai Yashoda sut Nand dulare, Jai prabhu bhaktan ke rakhvare

Jai Nat naagar Nag nathaiya, Krishna Kanhaiya dhenu charaiya

Puni nakh par Prabhu Girivar dharo, Ao dinan-kasht nivaro

🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵

Banshi madhur adhar dhari tero, Hove puran vinya yeh mero

aao Hari puni makhan chakho, Aaj laaj bhaktan ki rakho

Gol kapol chibuk arunare, Mridu muskaan mohini daare

Rajit Rajiv nayan vishala, Mor mukut Vijayanti mala

🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵

Kundal shravan peet put achhe, Kati kinkini kachhani kachhe

Neel jalaj sundar tan sohai, Chhavi lakhi sur nar muniman mohai

Mastak tilak alak ghunghrale, Ao krishna bansuri vale

Kari pai pan putanahin taryo, Aka-baka kagasur maryo

🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵

Madhuvan jalat agin jab jvala,  Bhe shital lakhatahin Nandlala

Surpati Jab Bruj chadhyo risai, Musar dhaar vari varshai

Lagat lagat Bruj chahan bahayo, Govardhan nakh dhari bachayo

Lakhi Yashuda man bhram adhikai, Mukh mahan chaudah Bhutan dikhai

🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵

Dusht Kans ati udham machayo, Koti kamal jab phul mangayo

Nathi kaliyahin tab tum linhyo, Charan chinh dai nirbhai kinhyo

Kari gopin sang raas bilasa, Sab ki puran kari abhilasa

Katik maha asur sanharyo, Kanshi kesh pakadi dai maryo

🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵

Mata pita ki bandi chhudayo, Ugrasen kahan raj dilayo

Mahi se mritak chhahon sut layo, Matu Devaki shok mitayo

Bhomasur mur dataya sanhari, Lae shatdash sahas kumari

Dai Bhimahin tran chir shara, Jarasindhu rakshas kahan mara

🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵

Asur bkasur adik maryau, bhaktan kai tab kasht nivaryau

Deen Sudama ke dukh taryo, Tandul teen muthi mukh daryo

Prem ke saag vidur ghar mange, Duryodhan ke meva tyage

Lakhi prem ki mahima bhari, Aise Shyam deen hitkari

🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵

Bharat ke parath rath hanke, Liye chakra kar nahin bal thake

Nij Gita ke gyan sunaye, Bhaktan hridai sudha varsaye

Mira thee aisi matvali, vish pi gayi bajakar tali

Rana bheja saap pitari, Shaligram bane banvari

🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵

Nij maya tum vidhihin dikhayo, Ur te sanshai sakal mitayo

Tab shat ninda kari tatkala, jivan mukt bhayo shishupala

Jabahin Draupadi ter lagai, Dinanath laj ab jai

Turatahi basan bane Nandlala, Badhay chir bhe ari munh kala

🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵

As anaath ke nath Kanhaiya, Dubat bhanvar bachavahi naiya

“Sundardas” Aas ur Dharri, Daya Drishti Keejay Banwari

Nath sakal mum kumati nivaro, kshmhu begi apradh hamaro

Kholo pat ab darshan dijai, Bolo Krishna Kanhaiya ki jai

🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵🎵

|| Doha ||

Ye chalisa Krishna ka, path karai Aur Dhaari,

asht siddhi nay niddhi phal, lahai padarath chari.


Added by

Anju Thakur

SHARE

Your email address will not be published. Required fields are marked *

ADVERTISEMENT

VIDEO